mashwara de mujhe ye bataa de mujhe,
dil agar tujhpe aaye to mai kya karun........
dil sambhalta nahi,zor chalta nahi,
pyar badhta hi jaye to mai kya karun........
maine mangi thi ye masjidon me dua,
mai jisse pyaar karta hun mujhko mile,
jo mera farz tha wo to maine kiya,
ab khudaa bhul jaaye to mai kya karun......
Friday, March 6, 2009
beete pall..........
kabhi kabhi mere dil me ye khayaal aata hai,
ke ye zindagi teri narm zulfon ki ghani chaanv me gujar na paati to shadaab ho bhi sakti thi....
ye ranjo gam ki syaahi jo dil pe chayii hai,
teri najar ki shuaaon me kho bhi sakti,
magar ye ho na sakaa,
magar ye ho na sakaa,
aur ab ye aalam hai,
k tu nahi,tera gam nahi,
teri just ju bhi nahi,
gujar rahi zindagi kuch is tarah,
isse kisi k sahaare ki aarju bhi nahi,
koi raah na manjil na roshni ka suraag,
inhi andheron me reh jaunga kahi khokar,
main jaanta hun meri hamnafas........magar yunhi,
kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai..............................

Subscribe to:
Comments (Atom)